Classic of Ibn-e-Insha :)

Ye Saraaye hai, yahaaN kiss kaa Thikana poocho
YaaN tau aatay haiN Musafir, so chalay jaatay haiN

HaaN yehi naam thaa, Kuch aisa hee chehra mohra
Yaad paRta hai kay ayaa thaa musafir koii

Soo-e-aaNgun maiN phira karta thaa tanha tanha
Kitni gehri thee nigahouN kee udaasi uss kee

Loug kehtay thay kay hoga koii aaseb zadah
Hum nay aisii bhee koii baat na uss maiN dekhi

Ye bhee himmat naa hui, pass biTha kar poochaiN
Dil ye kehta thaa koii dard ka maraa hoga

LouT ayaa hai jo awaaz na uss ki paii
Jaanay kiss dar pay kissay jaa kay pukara hoga

yaaN tau har roz ki baataiN haiN ye jeetaiN maataiN
ye bhi chahat kay kissi khail maiN haraa hoga

Aik tasveer thi kuch aap say milti julti
Aik tehreer thi, par uss ka tau qissa choRo

Chund ghazlaiN theeN kay likheeN, kabhi likh kar kaaTeeN
Sher achay thay, jo sunn lo tau kaleja thaamo

Buss yehi haal musafir ka thaa hum nay dekha
Jaanay kiss rah maiN kiss shakhs nay looTa uss ko

Guzra kartay haiN sulagtay huvay baaqi aiyaam
Loug jub aag lagatay haiN, bujhatay bhi naheeN

Ajnabi peet kay maarouN say kissi ko kiya kaam
BastiyouN walay kabhi naaz uThatay bhee naheeN

Cheen laitay haiN kissi shakhs say jee kaa araam
phir bulatay bhee naheeN, pass biThatay bhee naheeN

Aik din subah jo dekha tau saraye maiN na tha
Janay kiss Des gaya hai woh deewana, dhoondho

Hum say poocho tau, na aye ga woh jaanay wala
Tum tau nahuq ko bhaTaknay ka bahana dhoondho

yaaN tau ayaa jo musafir youN hee shub bhar Thehra
yeh saraaye hai … yahaN kiss ka Thikana dhoondho?

I am very much delighted to see all of you reading it. I feel honoured :blush:

two thumbz up :k: ..

her sher dosray sher say khoobsorat hai:k: ..

*YaaN tau aatay haiN Musafir, so chalay jaatay haiN
*
thanx for sharing :flower1:

oh some one did read:eek:. I feel sorry :bummer:

:k:

:k:

HaaN yehi naam thaa, Kuch aisa hee chehra mohra
Yaad paRta hai kay ayaa thaa musafir koii

veeerrrrryyyyy nice…:k::k:

Hi,

Too gud :) The ghazal u posted seems to be the original. I dont know where this piece of verse came from:

Yeh saraay hay yahan kis ka thikaana dhoondo
yahan to aatay hain musafir so chalay jaatay hain...
idhar aay kuch benaam musafir yunhi shab bhar theh-ray
ab jo chalay hain to ik pehchaan liyay jaatay hain

Sumthing like that was written in the invitation letter for the convocation ceremony of a local institute. :) .. maybe its the work of the creative students there :).. adding the missing link ..

Regards,

Naila

wow gr8 stuff

keep going...

wow

Guzra kartay haiN sulagtay huvay baaqi aiyaam
Loug jub aag lagatay haiN, bujhatay bhi naheeN

Ajnabi peet kay maarouN say kissi ko kiya kaam
BastiyouN walay kabhi naaz uThatay bhee naheeN

Cheen laitay haiN kissi shakhs say jee kaa araam
phir bulatay bhee naheeN, pass biThatay bhee naheeN

shukriya tata:)