aik shakhas doctor k paas gaya aur kaha:
“doctor sahib,haayay mairi halat bohat khrab ha.”
doctor nay mua-e-na kertay huway kaha:
“maaloom hota ha k tum cigrat bohat pitay ho.”
us nay kaha:
“haan, din main 20 cigrat pee laita hoon.”
doctor nay harat say kaha:
“20 cigrat, naheen, cigrat ko band kerna ho ga
aur ager peeni hi ha to khanay k baad aik cigrat pio.”
wo shakhas dawaee lay ker chala gaya.kuch din baad wo doctor
k paas aya.doctor sahib nay us ki halat daikh ker kaha:
“array tum to pahlay say kaafi behtar lag rahay ho
maira ilaaj kaam ker gaya?”
us shakhas nay jhat jawaab dia:
“haan, doctor sahib, aap ka ilaaj kaam ker gaya,laikin
din main 20 martaba khana khana bhi to aasaan baat naheen.”