jab ankhain karb sae moondi hon
aur sab samjhain tum sootay ho!!
tab takya moun pr rakhlaina..
aur chupkay chupkay roo laina!!
ye dunya zalim dunya hai..
ye baat buhut phalaye gi!!
tum samnay sab k chup rahna..
aur chupkay chupkay roo laina!!
*jab barish chehra dhoo dalay..
aur ashk bhi bondain lagti hon!!
tum vo lamha hargiz mat khoona..
aur chupkay chupkay roo laina!! *