Hasrat Mohani ki yeh ghazal mujhe be-had pasand hai, aap sab ki nazar…
Chupke chupke raat din aansoo bahaana yaad hai
Hum ko ab tak aashiqui ka woh zamaana yaad hai
Ba-hazaaraan iztiraab-o-sad hazaraan ishtiyaaq
Tujh se woh pehlay pehal dil ka lagaana yaad hai
Tujh se milte hi woh bebaak ho jaana mera
Aur tera daantoon mein woh ungali dabaana yaad hai
Khainch leena woh mera parday ka koona daf’attan
Aur dupattay se tera woh munh chupaana yaad hai
Ghair ki nazroon se bach kar sab ki marzi ke khilaaf
Woh tera choori chupe raatoon ko aana yaad hai
Aa gaya gar wasl ki shab bhi kaheen zikar-e-firaaq
Woh tera roo roo ke mujhe bhi rulaana yaad hai
Do-pehar ki dhoop mein mere bulaane ke leye
Woh tera koothe pe nange paaoon aana yaad hai
Choori choori hum se tum aa kar mile thay jis jagah
Muddattain guzreen per ab tak woh thikaana yaad hai
Be-rukhi ke saath sunaana dard-e-dil ki daastaan
Aur tera hathoon mein woh kangan ghumaana yaad hai
Tujh ko kab tanha kabhi paana tu azraah-e-lihaaz
Haal-e-dil baatoon hi baatoon mein jataana yaad hai
Dekhna mujh ko bargashta tu sau sau naaz se
Jab manaa lena tu phir khud rooth jaana yaad hai
Wakt-e-rukhsta alvida ka lafz kehne ke leye
Woh tere sukhe laboon ka thar-tharaana yaad hai…