Jab seena ghum say bojhal ho
aur yaad kisi ki ati ho
tab kamray main band holena
aur chupkay chupkay rolaina
jab ankhain baghi hojayein
aur yad me meri bhar ayin
tab khud ko dhoka mat dena
aur chupkay chupkay rolaina
jab palkain karb say moondi hoon
aur sub samjhain tum soyi ho
tab monh pay takya rakh lena
aur chupkay chupkay rolaina
yeh dunya zalim dunya hai
yeh baat buhat phalaye hi
tum samnay sub k chup rehna
aur chupkay chupkay rolaina
jab barish chehra dho dalay
aur ashk bhi bondain lagti hoon
woh lamhay hargiz mat khonacc
AUR CHUPKAY CHUPKAY ROLAINA