Chup chup kr muhabat ko badnaam na kiya jaye...!

Chup chup kr muhabat ko badnaam na kiya jaye…!

Jo kam kiya jaye
sar-e-aam kiya jaye…!

Ye dil k tere bad behalta hi nahi hy

Ab tu hi bta kesay isay raam kiya jaye…!

Ye to mere harfon ka takaza hai

Jo shair likha jaye tere naam kia jaye…!

Thak haar k kal shaam kaha tha ye hawa ney

Awara parindon ko tah-e-daam kia jaye…!

Kya faida phr aesi jawani ka k jis main

JAB SOCH SAMAJ KR HI HAR EK KAAM KIYA JAYE…!

Shayad wo palat aye kbi shab ka musafir

Roshan chiragon ko sar-e- sham kiya jaye…!

Ye duniya to hai ik bazar ki surat

Kal kis ko khabar kisy neelam kiya jaye.

Re: Chup chup kr muhabat ko badnaam na kiya jaye...!

nice :)

Re: Chup chup kr muhabat ko badnaam na kiya jaye...!

Nice:)