Chuoha

jungle kay baadsha ki shadi thi. shair ki baaraat dhoom dhaam say ja rahi thi..sabhi jaanwar khooshi say jhoom rahay thay…magar aik chooha baraat main sab say aagay bhangra daalta howa ja raha tha..
kisi nay poocha "kiya baat hay tumhain itni khooshi kiyon hay "?
choohay nay jawab diya “aap ko nahin pata shair mera bhai hay ..main es ki shadi ki khooshi kiyon na manaon.”
poochnay walay na herat say poocha " ye kaisay ho sakta hay …? wo thehra shair ..jungle ka baadsha aur too sirf aik chooha ..wo tumhara bhai kaisay honay laga ?
choohay nay dheemi aawaz main jawab diya "baat ye hay kay janab shadi say pehlay main bhi shair tha "..

Aur Shair keh biwi shaadi seh pehley kiya hoti heh ??????

testing cookies,

tu shyar ki biwi jadoogurni thee kiya jo us ney shyar ko chuha bana diya… :eek::eek::smiley:

:)

:hehe: