Chum chum chum
das patee tore gaay
ek pata kahcaa
hiraan ka bacha
hiraan gaya pani mein
pakro us ki rani ko
rani gai jail
hum gaey rail
rail mein kaey biskut
biskut bare karaab
hum ne pi sharab
sharab bohot achi
hum ne khai machi
machi se nikla kanta
ami ne mara chanta
chantey se nikla kooon
kardo telephone
telephone mein ghanti nahe
hum tumhari aunty nahee
aunty gaey delhi
delhi se liey billi
i forgot rest
help out guys or post your own version of chum chum
chum chum chum
mera toot gaya button
ammi marein gi
abbu daantay gein
atthahnay ki chaaliyaan
atthaanay ka paan
chal meray ghouray hindustaan
hindustaan ki pehli gali
jis may rehta liaqat ali
liaqat ali ko goli laggi
sarri duniya rounay laggi
routay routay bhook laggi
khalou beta moom phali
moom phali may dana nahee
ham tumharay nana nahee
i know four ppl was the best…have even tried on 6 and 8 specially when it is really fast and who ever mess it up was told to be out of the group and then it boiled down to only two people
[QUOTE]
Chum chum chum
das patee tore gaay
ek pata kahcaa
hiraan ka bacha
hiraan gaya pani mein
pakro us ki rani ko
rani gai jail
hum gaey rail
rail mein kaey biskut
biskut bare karaab
hum ne pi sharab
sharab bohot achi
hum ne khai machi
machi se nikla kanta
ami ne mara chanta
chantey se nikla kooon
kardo telephone
telephone mein ghanti nahe
hum tumhari aunty nahee
aunty gaey delhi
delhi se liey billi
[/QUOTE]
billi nay do bachay
Allah mian Sachay
sachay sachay jaain gay
bhaai ki dulhan laain gay
bhaai ki dulhan kaali
so so nakhroon waleee
ik nakhra toot gya
bhaai ka moon soojh gaya
mine were shorter. come on girls (and boys) let’s do it
Cham Cham Cham
mera toot gaya button
ammi marain gi
abbu dantay gaye
beta jor lo button
mera pyaaray pyaaray chacha jaan
jin kay lambay lambay kaan
jin ka mota mota pait
jaisay laal gali ka gate
and the second one
cham cham cham
das patay toray
aik pata kacha
hiran ka bachay
hiran gaya paani main
pakro us ki nani ko
nani gayi jail main
hum gaye rail main
rail main khaye biscoot
biscoot baray kharab
hum nay pi sharab :halo:
sharab bari achi :halo:
hum nay khayi machi
machi main kanta
ammi nay mara chanta
chanta baray zor ka
hum nay khayi polka
polka bari thandi
hum gaye mandi
mandi main khaye aloo
aloo baray khachay
Allah mian sachay
sachay sachay ayin gay
bhaiya ki dulhan layain gay
bhaiya ki dulhan kali
so so nakhron wali
upar sa giri pyali
pyali main pista
tera mera rishta
i teach this to my nephews as well. and if im playing in front of the elders, i change the sharab :halo: line to hum nay parhi kitaab