chalo ik nazm likhtay hain..vo aisi nazam ho jis main..
kisi ka zikar hi na ho, kisi ki fiker hi na ho
kisi ki baivafai ka, kisi ki judai ka
kisi k lot ane ka , kisi kay chhor jane ka..
na us main phool hi mahkain, parinday tak nahe chehkain
vo aisi nazam ho jis main, kisi ki yad hi na ho..
koi faryad hi na ho
vo aisi nazam ho, jis main na barish ho na badl ho..
na bheega bheega kajal ho.
vo aisi nazam ho jis sai
kisi ki ankh na ho nam..
na zyada dukh hon, na hi kam..
vo aisi nazam ho jis main
na shikva ho na shikyat ho
koi aisi hikayat ho k
jis say dil bahel jaie
mager vo nazam main
kaise likhon..
koi bata day na
vo aisi nazam haan
jis main kisi ka
ziker hi na ho
kisi ki fiker hi na ho