So my son is learning some poems at his playgroup and it feels nostalgic to see him singing the poems that I never knew I still remembered. Which poems (urdu) can you recall ?
I will start
machli ka bacha
anday se nikla
paani may phiss-la (my son says phuss-la )
abbu ne pakra
ammi ne pakaya
hum sub ne khaya
bara maza aya
Chota sa makora darakht pay chardh gaya
Zoar say ayee barish, sara bheeg gaya
dhoop jo nikli sari, sara sokh gaya...
Oooh..that's "incy wincy spider climbing up the drain,
down came the rain
washed him all away
out came the sun
dried him out again
incy wincy spider climbed up again!"....
dus pattay torayngay
ek patta katcha
hirann ka bachcha
hiran gaya pani may
pakro uski nani ko
nani gaye jail may
hum gaye rail may
rail may khaaye biscuttt
biscuttt baray kharab
hum ne parhi kitaab
kitaab bahut achi
hum ne khayee machchi
machchli se nikla kaanta
ammi ne maara chaantaa
chaantay se nikla khoon
kar do telephoooon
telephooon ki ghanti nahin
hum tumhari aunty nahin
phewww
aunty ko bulaao
rickshay may bithao
rickshay ka pahiyya nai
hum tumharay bhaiiya nahin
bhaiyaa ko bulao
chirya ghar lay jao
chirya ghar may haathi nai
hum tumharay saathiii naiiiiii
titli hoon mai titli hoon
phooloan se mai nikli hoon
thanda paani peeti hoon
ooper pankha chalta hai
neechay munna sota hai
munnay ki ammi moti
khaati double roti
double roti meethi
munnay ki amma geethee
munnay kay abba lambay
jaisay bijli kay khambay
chanda mamoon doour kay
baray pakayen boor kay
aap khayen thali may
munnay ko dayn pyali may
pyali gayee toot
munna gaya rooth
aao layen gay nayee pyaliyaan
bajaa bajaa kay taaliyan