chhupaaye dil mein Gamo.n kaa jahaan baithe hain
tumhaarii bazm mein ham bezabaan baithe hain
ye aur baat ki manzil pe ham pahunch na sake
magar ye kam hai ki raahon ko chhaan baithe hain
fuGaan hai dard hai soz-o-firaaq-o-daag-e-alam
abhii to ghar mein bahut meharabaan baithe hain
ab aur gardish-e-taqadiir kyaa sataayegii
luTaa ke ishq mein naam-o-nishaan baithe hain
vo ek lafz-e-mohabbat hii dil kaa dushman hai
jise shariat-e-ehasaas maan baithe hain
hai maikadon kii bahaaron se dostii ‘Sagar’
baraaye had-e-yaqiin-o-gumaan baithe hain