chhup gaya aasman,sab sitaaray mar gaye
jeeta tha jin ke sahaaray,woh ishaaray mar gaye
ek samander shookta tha sheher ke chaaron taraf
dheeray dheeray sheher ke saaray kinaaray mar gaye
waqt ka aaseb sab kuch nigal gaya
kuchh cheezen tooteen kuchh gham ke maaray mar gaye
paakeezgi ke daairay mein koi mujha bhi chaahnay wala ho
meri guzri raaton mein aisa bhi ek khwaab hai
jo ubher ke meray khwaabon ko taabeer ki roshni dey
haqeeqaton ki kisi kehkashaan mein aisa bhi ik aaftab hai.
[FAWAD AHMED]