***Dasht mein ik talism e aab kay saath
Door takk ham gaey sarab kay saath
Phir khizan aai aur khizan kay baad
Khaar khilnay lagay gulaab kay saath
Raat bharr toot’ti huwi neendein
Jurr gaein sehr e maahtaab kay saath
Ham sada ki tarah bujhay huway thay
Woh tha pehli si aab o taab kay saath
Chhoti umron ki pehli pehli baat
Kuchh takalluf say,kuchh hijab kay saath
Aur phir yeh nigaah e kheera bhi
Doob jaey gi aaftaab kay saath
Raat ki tashtari mein rakhi hain
Meri aankhein kisi kay khwab kay saath
Uss gali mein na kesay koi jaey
Shaam ko iss dill e kharab kay saath
Yeh faqat rasm hi nahien ay dost!
Dill bhi shamil hai intasab kay saath…!!!***