Chhorr kar teri gali chain kahan leta hun,
Jism mera hay yahan, saans wahan leta hun,
Chahta hay wo kehlwaaye meri malkiyat,
Shehr me jo bi kiraaye ka mkaa’n leta hun,
Log hairat sy wahan daikhne atay hain mjhe,
Fakhar kay sath tera naam jahan leta hun,
Roshni bi jo diya krte thay shame hijraa’n,
Un chiraaghon se me ab sirf dhuwaa’n leta hun,
Uski waada shikni se wo hui hai ibraat,
Na zubaa’n daita hun main, ab na zubaa’n leta hun,
Kya wafaa us ne kisi aik say bi ki hai ",
Me zara jaa kr rqeebo’n k byaa’n leta hun.
Re: Chhorr kar teri gali chain kahan leta hun,
nice..
Re: Chhorr kar teri gali chain kahan leta hun,
Very nice
Re: Chhorr kar teri gali chain kahan leta hun,
Tujhy kya khaber mery haal ki
Mery dard mery mlal ki..........
Ye mery khyal ka silsla
Ksi yad sy h mila hoa
Usy dekhna usy sochna
Meri zindagi ka h faisla
Ye usi ki palkon k saaye hn
Meri rooh mn jo otar gae
Ye janon-e- manzil-e-ishq h
Jo chaly to jaan sy guzar gae............
Mjhy es mukam p chorna
Hai ye be wafai ki intha
Ye qafas ho jesy khuli fiza
Yahen sukh ka sans mn lun zara
Jinhn teri ded ki pyaas thi
Wo katory nenon sy bhar gae
Ye janon-e- mazil-e-ishq h
Jo chaly to jaan say guzar gae...
pktun
September 29, 2011, 11:18pm
5
Re: Chhorr kar teri gali chain kahan leta hun,
dono nyc :k:
Re: Chhorr kar teri gali chain kahan leta hun,
hey mano…
…you can always start a new thread if you want to post some some poetry here in Poetry forum…
Re: Chhorr kar teri gali chain kahan leta hun,
Chhorr kar teri gali chain kahan leta hun,
Jism mera hay yahan, saans wahan leta hun,
Chahta hay wo kehlwaaye meri malkiyat,
Shehr me jo bi kiraaye ka mkaa’n leta hun,
Log hairat sy wahan daikhne atay hain mjhe,
Fakhar kay sath tera naam jahan leta hun,
Roshni bi jo diya krte thay shame hijraa’n,
Un chiraaghon se me ab sirf dhuwaa’n leta hun,
Uski waada shikni se wo hui hai ibraat,
Na zubaa’n daita hun main, ab na zubaa’n leta hun,
Kya wafaa us ne kisi aik say bi ki hai ",
Me zara jaa kr rqeebo’n k byaa’n leta hun.
wow nice one KR :k: