Daagh
1
**
chhodiye chhodiye ye baatein to afsaane hain
ham bhi deevane hain jo aap ke deevane hain
mar ke bhi aap ko rusvaa nahin hone denge
jal ke badanaam jo karate hain vo parvane hain
aaj insaan ne bhula daale hain yazadaan ke karam
ham ne to zulm bhi ehasaan tere jaane hain
yuun to saaye ki tarah saath vo rahate hain mere
phir bhii mahsuus ye hota hai vo begaane hain
mera izhaar-e-mohabbat na samajh paaye aap
ye meraa dukh ye meraa dard to anjaane hain
**
-Hamid Jazib-
Koyal
2
yuun to saaye ki tarah saath vo rahate hain mere
phir bhii mahsuus ye hota hai vo begaane hain
isi leay kaha tha saaya movie na dekhin 
mazak a part nice one :k:
Daagh
4
thanks 
well meine dekhi hi nahi Saaya…aapne dekhi
tabhi aapko pata hai story 
Koyal
6
nahi dekhi tu phir ye kis ka saaya hia 
Azad
8
ham bhi deevane hain jo aap ke deevane hain
haan na
_Nazish
10
ChoRiye ChoRiye ye fazuul baateN haiN
ham koi nein deewane shaane sirf aap he deewane hain :p
Nice one though :)
Azad
11
Jee … log mattee main daba kar lott bhi aay hum rahay wazo kartay.
Daagh
14
well woh hum apni baat kar rahe the 
thanks 