cheharaa meraa thaa nigaaheN us ki

**

cheharaa meraa thaa nigaaheiN us ki
Khaamoshi meiN bhe vo baateiN us ki

mere chehare pe Gazal likhati gaieN
sher kahati hoee aaNkheiN us ki

shoKh lamhoN kaa pataa dene lageN
tez hoti hoee saaNseiN us ki

aise mausam bhi guzaare ham ne
subaheiN jab apani theeN shaamaiN us ki

dhyaan meiN us ke ye aalam thaa kabhee
aaNkh mahataab ki yaadeiN us ki

faisalaa mauj-e-havaa ne likkhaa
aaNdhiyaaN meri bahaareiN us ki

neend is soch se TooTee aksar
kis tarah kaTate hain raatiN us ki

duur rah kar bhi sadaa rahatee hai
mujh ko thaame hue baaheiN us ki
**

Jawab

Buhat Khub AsSweetAs.

Ye Raha Mera Jawab

Tujh Ko Thamay Hue Banhain Uss Ki
Hum Bharain Yaad Main Aahian, Uss Ki

Uss Ki Bas Aik Nazar Hum Pe Giray
Hans Ke Seh LaiN Gay JafayieN Uss Ki

Hum Ko Kaafir Na Bana DaiN Ik Din
Haaye Wo Shokh AdayeiN Uss Ki

MuddatoN Aas MeiN thay Jin Kay Liye
Sab RaqeeboN Ki TheeN ShameiN Us Ki

Dhyan Dunya Ka Raha Na Apna
Hum Bas Ik Deed Hi ChaheiN Us Ki

Kaash Bijli Hi Gira DeiN Mujh Par
Shokh-o-Chanchal Wo NigahaiN Us Ki

Neend AnkhoN Mein Theharne Hi Na DeiN
Shams Ki Jaisee ShuAaeiN Us Ki

Har Sitam Seh Ke KareiN Ehd Ye Hum
Ab Bhula DaiN Ge Wo RaaheiN Us Ki

Poet = (Black Mamba)

Buhat Khoob:k:..
:flower1:

Re: Jawab

[QUOTE]
*Originally posted by Black Mamba: *
Buhat Khub AsSweetAs.

Ye Raha Mera Jawab

Tujh Ko Thamay Hue Banhain Uss Ki
Hum Bharain Yaad Main Aahian, Uss Ki

Poet = (Black Mamba)
[/QUOTE]

Nice reply..
waisy iss sher se kuch jalny ke boo nahi aarahe??? :)

:k: :slight_smile:

very nice :k:

Tabahi Hay

WOW wat a nazam and wat a Jawab… :mudhosh:

Me Buhut Impress Hua Hun… Lagta Hay Doonoon AsSweetAs and BlackMamba .. Ya tou raqeeb rahay hain our Ya… waisay hi.. lag raha he ke… Muqabla Chahtay hain .

Gr8 Work :biggthumb

Thanx... Paglee & chand_chehra :)

Re: Tabahi Hay

Dear Golden_Scorpion aise koi baat nahi… na to hum raqeeb haiN aur na koi moqaabla chal raha hai… ye to pyar ke nishaaneya haiN :slight_smile:

ye to pyar ke nishaaneya haiN

Wah Kia Shot Hay... Front Foot Out Of the Boundry :D

:k:

Shukria Azad sb

Gosh AsSweetAs and Black Mamba, aap donon ne to kamaal hi kardiya. Aap donon ki posts parh ke mujhko bhi UNKI yaad aa gayi :teary1:

KhamoshNigahein Ji

Aap aisi Baat Karengay Tou Hamain Bhi Rona Ayega ... Plz.. :(

[QUOTE]
*Originally posted by Golden_Scorpion: *
KhamoshNigahein Ji

Aap aisi Baat Karengay Tou Hamain Bhi Rona Ayega ... Plz.. :(
[/QUOTE]

Itni jaldi ro parein ge? Aapka dil to mere dil se bhi zyada kamzor hai, dil ko thora sa mazboot karlein. Ager toot gaya to jorein ge kaise?

KhamoshNigahein Ji

Pehlay tou sirf kaha ke Rona A jayega… maggar.. Iss waqt maiN Ro rhah huN. Mujhay Computer ki screen Dhundli Nazar Aa rahi hay.:crying:

Ye… Khushi ke aansoo haiN

Kam Se Kam Kissi Nay Tou Meray kamzor dil ke barray me kuch Likha.

Mazeed naheen Ro sakta. Computer maiN aanso chalegaye tou Jal Ja yega.

Acha, khushi ke ansoon hain to phir theek hai, jitna marzi ro lein. I won’t stop you. Aur aisa lag raha hai ke aapka computer bhi aapke jaisa hi hai, jitna jaldi aap royein ge utni hi jaldi aapka pc bhi jal jaye ga, hai na? How sad, both are kamzor :stuck_out_tongue:

Khuda khair kary lagta hai, G_S k aansooN ka selaab humaiN baha kar lay jayega , dear G_S sabar se kaam loo, Khushe aur ghum to zindagee maiN aaty rehty haiN. maiN dowa karooN ga k app hamesha khushe k aansooN bahao, but China ka sailaab yaad rakho. :)

KhamoshNigahein Ji

Yahi Tou.. Yahi Tou maiN Kehta huN Ke mera dil Kamzor hay.. and.. Yahi Loag Kehtay haiN
Laikin Koi Illaj NaheeN Batata. Kaisay Mazboot KanooN iss Dil Ko ?
:frowning:

AsSweetAs Ji

**Oops… Kia China Ka sailaab Khushi Ke AansooN se aaya tha ?:eek:
Thanx for Sharing General Knowledge **