Chehara mera tha, nigahaiN us ki
Khamshi maiN bhi woh baatain us ki
Mere chehray pe Gazal likhati gaayeeN
Shair kahati hui aankhaiN us ki
ShoKh lamhoN kaa pata denay lageeN
Tez hoti hui saansaiN us ki
Aise mausam bhi guzaare ham ne
SubhaiN jab apani theeN, shaamaiN us ki
Dhiyaan maiN us ke ye aalam tha kabhi
Aankh mahataab ki yaadaiN us ki
Faisalaa mauj-e-hava ne likkha!
AandhiyaaN meri, bahaaraiN us ki
Neend is soch se TooTi aksar
Kis tarah kaTati haiN raataiN us ki
Duur rah kar bhi sadaa rahati hai
Mujh ko thaame hue baahaiN us ki