Ab kay uski ankhoon main
Bay Sabab udaasi thi
Ab kay uskay chehray par
Dukh tha bay hawasi thi
Ab kay yoon mila mujh say
Yoon ghazal suni jaysay
Main bhi nashanasa hoon
Woh bhi ajnabi jaysay
Woh kay umar bhar jisnay
Shehar bhar kay logon main
Mujh ko hum sukhan jana
Dil say ashna likha
Khud say mehrabaan samjha
Mujh ko dilruba likha
Ab kay sada kaghaz par
Surkh roshnai say
Uss nay talkh lehjay main
Meray naam say pehlay
Sirf baywafa likha
[v]12939.304968[/v]
alrite if u dont wana read then listen to it.

woww chipko :k: very nice 
thanks for sharing 
Azad
3
[QUOTE]
Ab kay sada kaghaz par
Surkh roshnai say
Uss nay talkh lehjay main
Meray naam say pehlay
Sirf baywafa likha
.
[/QUOTE]
jitnii bhi tareef ki jay kam hay
Buhat Khoob
Mashallah Buhat Acha intikhaab hay
Keep it up :k:
Dilsay
5
Very nice
Very nice and thanks for sharing
ah well.
its by mohsin naqvi
thanks for appreciating his work!