tark-e-talluq ka jo wadaa kiya tha hum naiN khud say
aaj khwaab main tujh say milay to wo booda niklaa
dil, kay jisay samjhay they khwahishooN ka maqbar
aaj phir iss main say umeedoN ka daryaa niklaa
nai bahaany laga dhoondhnay tujh say milnay kay
dil-e-nadaaN aaj bhi tairay saath ka rasyaa niklaa
ik dimaagh say umeed thi haqeeqat pasandi ki
aah, aaj wo bhi dil ka hamnawaa niklaa
uss kay behlaany ko bohat jatan kiye, magar sadd haif
ghalib aaj bhi tairay pyaar ka pyaasa niklaa