charchaa thaa jis ka...

Charchaa thaa jis ka, ussi ko khabr kahan thee
Khata jis nay ki, janey uski Saza kiya thee
Dil ka kiya, abb tou Aasmaan rou parra
Doobta hai koi doobay, kisi ko parwah kahan thee
Badaltay chehroun say utthta hai dard ka dhuaan
Chila jo dil uttha, najanay uss may Awaz kahan thee

Re: charchaa thaa jis ka…

Mashallah Very Nice Tasha :flower1:

Re: charchaa thaa jis ka…

thankyou so much!:smiley:

Re: charchaa thaa jis ka...

Wa Wa

Re: charchaa thaa jis ka…

nawazish!:slight_smile:

Re: charchaa thaa jis ka…

bhut achay:k:

Re: charchaa thaa jis ka…

thankyou soo much Jaan Lewaa:)

Re: charchaa thaa jis ka...

this ghazal of mine i posted on the poet 1...and now posting here.
hope every one likes it!

Akaylay hi aye thay, akaylay hi chalay jaana hai
Dhoond kar sabb ko, khud hi kaheen kho jaana hai
Nazr tou subb may khush bohut atein hain
Dil hai diya aansoo ka, hountoun nay muskraye jaana hai
Raangou may jeetein hain, rangoun ki duniya may
Bayrung iss rooh ko, rang-e- mousam nay kar jaana hai
Na kar khayal-e-zikr kissi ka aur abb phir
Tourr kar tujhay, aasman par bakhair jaana hai
Kiyoun baha diye aankh kay motti youn meray doost
Yaqeenan Rabb ki zaat say haath bhara hi lay kar jaana hai

Re: charchaa thaa jis ka...

both are very nice

Re: charchaa thaa jis ka…

shukriya nawazish Jhuki Nigahein:)