main wo lo hoon jo shama ke saath he jal jaounga
jab dhalegi shaam main ban ker dhuaan urdh jaaounga
ronaqey mehfil rahonga jab talak jalta hoon main
main bujha to saath apney roshani le jaaounga
mere daman main andherey hain mager ai karwaan
saath rakhogey mujhey main pasbaan ban jaaounga
na safar main hoon koi na aaas manzil ki mujhey
aaik he kooche main jalta hoon whaeen mit jaounga
kitne parwane jaley gham main mere milkar galey
na samajh thay ye na samjhey main to jalta jaounga
waqat badleyga naye mehfil naye hongey sukhan
sab badal jaaeyga lakin main wo he reh jaaounga