charaagh-e-ishq jalaane ki raat aai hai
kisi ko apnaa banaane ki raat aai hai
falak ka chaand bhi sharmaa ke moonh chhupaayegaa
naqaab rukh se uthaane ki raat aai hai
nigaah-e-saaqi se paiham chhalak rahi hai sharaab
pio ki peene-pilaane ki raat aai hai
*woh aaj aa_e hain mehfil main chaandni lekar *
ki raushni main nahaane ki raat aai hai
~~~~~
Faiz Ratlami
~~*****