yaad se naam mita, zehn se chehra utra…
chand lamhoN meiN nazar se teri kia kia utra
Re: Chandd lamhon mein…
khas kam jahan pak??
Re: Chandd lamhon mein…
Khas na hoga tou hashraat ul arzz ka kya hoga… Unki eidi mein bhi dhandee maar rahey ho
Re: Chandd lamhon mein…
naam gum jaayegaa, chehraa yeh badal jaayegaa
merii aawaaz hii pahchaan hai, gar yaad rahe! ![]()
Re: Chandd lamhon mein…
Pehli dafa tou suna dain phir yaad rakhloon gi…
Re: Chandd lamhon mein…
hahaha…achchhaa jii…kia suneNgii? raag Bhairwii yaa raag Mankoos? ![]()
Re: Chandd lamhon mein…
kia Ekta Kapoor ka long running soap hai.. chehra badal jae ga
Re: Chandd lamhon mein…
yaad nahiiN k Ekta Kapoor kaa nayaa Drama hai yaa Umaira Ahmad kaa! donoN hii palle darje kii Drama QueeneN haiN!!! ![]()
Re: Chandd lamhon mein…
dono kafi mazhabi hain. ek Dus bibyonki kahani padh kar script likhti hai, doosri Punch Kaniya ka paat kar ke drame banati hai
Re: Chandd lamhon mein…
masha Allah…baRii Bibi to baRii Bibi, chhoTii Bibi subHaan Allah! ![]()
Eid kii namaaz paRh aaye? kaisaa rahaa sab? Eid Mubarak. ![]()
Re: Chandd lamhon mein…
Ji 8 baje namaz thi yahan. aap ko bhi boht boht mubarak ho ![]()
halki halki phuwar pad rahi hai yahan
Re: Chandd lamhon mein…
![]()