Chand mayree terha pighalta raha
Neend mai saree raat chalata raha
Janay kis dukh say dil girafta thaa
Moun pey badal ki raakh malta raha
Mai tou poa~on kai kantay chuntee rahi
Aur woh rasta badalta raha
Raat Galiyon mai jub bhatakti thee
Koee tou thaa jo saat chalta raha
MOusami baill thee,mai soukh gaee
Woh tanawar shajar,tha phalta raha
Sard ruu’t mai,musafiroun kai leeye
Pairr ban ker alao~u, jalta raha
Dil, mayray taan ka phool sa bacha
paatharoun kai nagar mai palta raha
Neend hi neend mai khilonay leyee
Khuwab he khuwab mai behalta raha…
]