Chand ko kya khabar is dil main kya hai
yah to bas apni chandni kay sang hai
Hum bhi kabhi kisii chand ki zeenat thay
ab us chand ki chandni koi aur hai
Yah chand kyun har raat mujhya nazar aata hai
din bhar jo na soochon yaad ko yaad aata hai
Issi chand ki chandni main hum donon milay thay
ab meray sang sirf chandni aur judaii hai
Ay chand is dil ka aik kaha zaroor sunna
roz main tarapti hoon kal kissi aur ko tarpana
Us kay aangan main zara ja kar chamakna
lai kar mear aks us kay samnay jhalkna
Ab woh chand bohat door kissi chandni kay sang hai
par ab bhi yah sitara chamakta hai ussi kay dam say