Chand ne badal orh liya tha
Ek shab taaron ki chirmat se
Chand utar kar chhat par aaya
Holey se phir mujhse bola
Hairaan hairaan si aankhon se
Aao mujhko barh kar choo lo
Main ghabrayi kuch sharmayi
Aur yun boli: “Aisa kyun karoon?”
Jab uska israar barha to
Maine chaha
Agey barh kar usko choo loon
Lekin tab tak
Chand ne badal orh liya tha*