http://a657.g.akamai.net/7/657/2865/v001/www.virtualflorist.com/en/act/images/items/redtulip_l.jpg
**
Kuch issqadar bhi to aasan nehi hai ishq tera
Yeh zahar dil main utar ker hie raas aata hai
Ussay ganwa kay main zinda hoon isstarh mohsin
Kay jaisay taiz hawa main charag jalata hai
Haru haruf rutt ker bhii aagehi nehi milti
Aag naam rekhnay se to roshni nehi milti
Aadmi se insaan tak aayo gey to samjo gey
kyu charag kay nechay roshni nehi milti
Ankhon main reha dil main utar ker nehi dekha
Kashti kay musafir ne samundar nehi dekha
Pathar mujay kehta hai mera chahnay wala
Main moam hoon uss ne mujay choo ker nehi dekha
Jo rukay ro koh-e-ghiran thay hum jo chalay to jaan se guzar gaye
Raah-e-yaar hum ne qadam qadam tujay yaadgaar bana diya