[quote]
Originally posted by Almi:
**jahaa.n bhii dekhaa unhe sar jhukaa diyaa maine
ye kyaa kiyaa ki khud hii ko miTaa diyaa maine
chaman se duur bhii rahakar are chaman vaalo.n
kalii ko phUl ko ha.Nsanaa sikhaa diyaa maine
ta.Dap ke laakh gire bijaliyaa.n to kyaa Gam hai
khud apane haatho.n nasheman jalaa diyaa maine
giraa bhii rahane do isharat safiinaa tUfaa.n me.n
har ek mauj ko saahil banaa diyaa maine**
[/quote]
kabhi yaad tujko aaye guzra huwaa zamanaa....tujhko qasam wafaa ki aaNsoo nah tu bahaana...milnaa hi do diloN ka dar-asal hai judaai....ulfat ka rang-o-gham say rishta ,hai yeh puranaa....duniya mein naam-e-ulfat ashkoon ke hai hazanaa....ai bulbul-e-gulistaan tum yun na muskruaao.....poshida iss khushi mein gham ka hai tarana....ho jagah koi woh yarrab jahaan chaand na ho , nah taa-ray...nah to dar ho bijliyoN ka . ghar ho nah aashiyana....... apni jahan mein bas arzoo yahi hai...... kar-nay wafaa hain aaye , kar kay wafaa hai jaana......