Chamakte chaand ko toota hua taara banaa daala,
Meri aawargi ne mujhko aawara banaa daala…
Badaa dilkash badaa rangeen hai, Yeh shehar kahte hain,
Yahaan par hai hazaaron ghar, gharon me log rahte hain…
Mujhe iss shehar ne… galiyon ka banjaara banaa dalaa…
Main iss duniya ko dekhkar aksar hairaan hota hoon,
Na mujhse ban sakaa chhota sa ghar, din raat rota hoon…
Khudaa-ya tune kaise… yeh jahaan saara banaa daala…
Mere maalik mera dil kyun tadaptaa hai, sulagataa hai,
Teri marzi, Teri marzi par kiska zor chaltaa hai…
Kisi ko gul kisiko tune… angaara banaa daala…
Yeh aagaz thaa mera, yehi anjaam hona tha,
Mujhe barbaad hona tha, mujhe naakam hona thaa…
Mujhe taqdeer ne, taqdeer ka maara banaa daala…
![]()