**Chaltay chaltay chand yadain samait jaen gay
Jin kay saharay yeh umar basar ker jaen gay
Hum nay tu har rah per roshan diye rakhay hain
Yehi diye zulmat main phir sehar ker jaen gay
Toofan ki aamad par tinkon say ghar bananay valay
Iss say be-khabar nahi kay yeh bikhar jaen gay
Tuhmaton say kia darna keh yeh tu un ka shaiva hai
Magar yeh chand loog hi mujhe mutabir kar jaen gay
Yeh chand mah-o-saal hi sarmaya-e-zindagi hain
Jin kay sae main hum taveel safar ker jaen gay
**