Re: Chalta nahi Pata!!!!!....
us raat aasmaan pe taarey they is kadaR
dushwar ho raha tha safar mahtaab ka
Ik bekinaar hijaR ka dasht-e-chaman numa
aa'ttki hui thi nakhl-e-tamanna ki shaakh paR
fasal-e-paReeda rang ki masli hui qaba
Ik ajnabi duwa
khilney lagey they dast-e-hawa par khizaN key phool
jaati hui bahaar k tootey huwey asool
chehRa azal ki aag tha aaNkheN abad ki dhool!
us raat tootey huwy taaroN ki goonj meiN
ham kitni deR chaltey rahy kuch pata nahi
kab tak ham apney an-kahey lafzoN ki kirchiyaN
farsh-e-hawa se chuntey rahey kuch pata nahi
bahut aala g