us raat aasmaan pe taarey they is kadaR dushwar ho raha tha safar mahtaab ka Ik bekinaar hijaR ka dasht-e-chaman numa aa’ttki hui thi nakhl-e-tamanna ki shaakh paR fasal-e-paReeda rang ki masli hui qaba
Ik ajnabi duwa
khilney lagey they dast-e-hawa par khizaN key phool jaati hui bahaar k tootey huwey asool chehRa azal ki aag tha aaNkheN abad ki dhool!
us raat tootey huwy taaroN ki goonj meiN ham kitni deR chaltey rahy kuch pata nahi kab tak ham apney an-kahey lafzoN ki kirchiyaN farsh-e-hawa se chuntey rahey kuch pata nahi
shabnam k saath saath chamkey tamaam shab taarey they k wo aks meray aaNsu’oN key they! kyuN kurbatoN k shor meiN ghutney laga tha dam kismat k they k halqey terey baazu’oN k they
Kuch pata nahi
gard is qadaR hai aaina-o-maah-o-saal paR khaaboN k aks apney khad-o-khaal kho gaye aaNkhoN k rang ley gai taaroN ki roshni chehroN k naksh ray’et ki tehreeR ho gaye taktey they dil ki simt jo qarnoN ki ott sey benaam khaahishoN k wo mosam badal gaye soorat garoob ho gaye, mehtaab dhal gaye taair shaheed ho gaey, ashjaar jal gaye
saahil ka jhaag ho k mitey ya k rizq-e-abr aata nahi palat k kabhi jo gaya — gaya lekin ye kya k aaj bhi jis raat mehtaab taaroN k bekinaaR meiN rasta na paa sakey aa’NkhoN meiN jilmilaatey huwy aaNsu’oN k paaR milti heiN is tarhaN sey zamaanoN ki sarhadeN
us raat aasmaan pe taarey they is kadaR
dushwar ho raha tha safar mahtaab ka
Ik bekinaar hijaR ka dasht-e-chaman numa
aa'ttki hui thi nakhl-e-tamanna ki shaakh paR
fasal-e-paReeda rang ki masli hui qaba
Ik ajnabi duwa
khilney lagey they dast-e-hawa par khizaN key phool
jaati hui bahaar k tootey huwey asool
chehRa azal ki aag tha aaNkheN abad ki dhool!
us raat tootey huwy taaroN ki goonj meiN
ham kitni deR chaltey rahy kuch pata nahi
kab tak ham apney an-kahey lafzoN ki kirchiyaN
farsh-e-hawa se chuntey rahey kuch pata nahi