Chalo

Chalo tum ko batate hain
Kay tum ko daikh kar dil nay
Kaha tum rishta-e-jaan say bhi barh kar ho
Dua ki sarhadon par
Jo ik adhoori hai mairi aisi tamanna ho
Mairay dil ka muqaddar ho
Kay tum ik roshni ban kar shifa le kar
Kabhi dast-e-maseeha ki tarha
Utray huye har zakhm-e-dil par ho
Chalo tum ko batatay hain
Kay tum eemaan hamaara ho
Siraaye dehar main andesha-e-zindgani main
Tum hi dil ka sahaara ho
Jo rooh ke aasman pay jagmagaya hai mohabbat say
Suhaani shaam ki chahaton ka pehla taara ho
Wafa ka isteaara ho
Tumhaaray qurb ki khushboo say pathhar ki tarha ham nay
Sulagti dhoop main phailaao paaya hai
Tumhaaray pyar kay rangeen kanwal thandi hawa say sarsaraatay hain
Ham saawan main bheegay pairron ko choo lain to
Tumhaaray lams ki khushboo kay lamhay jagmagatay hain
Chalo tum ko bata tay hain
Kay ham nay zindagi kay sab warq lay karr
Sab hi satron main likh li hai tamanna tum ko paanay ki
Zamanay bharr main shayad katib-e-taqdeer kay haathon
Mairay dill nay likh li hai tumhaari chah ki khuwahish
Tumhaari aarzooun ka jo ik idraak hai mujh main
Kissi main ho nahin Sakta
Tumhaari muskurahat ka ik armaan hai mujh main
Kissi main ho nahin sakta
Chalo tum ko bata tay hain

Re: Chalo

I love it Barbie, what a nice way of putting your thoughts together. Heina..**

Chalo tum ko batatay hain
Kay tum eemaan hamaara ho
Siraaye dehar main andesha-e-zindgani main
Tum hi dil ka sahaara ho **

And this last bit just kills me through...**

Chalo tum ko bata tay hain
Kay ham nay zindagi kay sab warq lay karr
Sab hi satron main likh li hai tamanna tum ko paanay ki
Zamanay bharr main shayad katib-e-taqdeer kay haathon
Mairay dill nay likh li hai tumhaari chah ki khuwahish
Tumhaari aarzooun ka jo ik idraak hai mujh main
Kissi main ho nahin Sakta
Tumhaari muskurahat ka ik armaan hai mujh main
Kissi main ho nahin sakta
Chalo tum ko bata tay hain**

Re: Chalo

lovely…:k:

Re: Chalo

hmmmm...i adore this poem....

Re: Chalo

:-|

Re: Chalo

kya hua?

Re: Chalo

Aray kuch ho hee to naheen raha :bummer:

Re: Chalo

hmmm....

Re: Chalo

yeh tumhain AZAd bhai ki aadat kab say lag gaee hay :bailan:

Re: Chalo

tou what else can i do for you except hmmmmm.....

Re: Chalo

hmmmmmmmmmm

Re: Chalo

Nice poem Barbie_Girl :k:…thanx for sharing.

Re: Chalo

[QUOTE]
Kay tum ik roshni ban kar shifa le kar
Kabhi dast-e-maseeha ki tarha
Utray huye har zakhm-e-dil par ho

Jo rooh ke aasman pay jagmagaya hai mohabbat say
Suhaani shaam ki chahaton ka pehla taara ho
Wafa ka isteaara ho

Chalo tum ko bata tay hain
Kay ham nay zindagi kay sab warq lay karr
Sab hi satron main likh li hai tamanna tum ko paanay ki

[/QUOTE]
Very nice..specially these parts of the poem....I hope you will continue posting nice pieces like this one :)

Re: Chalo

Thankyou bacho

Re: Chalo

Mere GuRya
Suno ye daastaN apni, mere guRya k wadoN ki
muhabbat thee ussay mujh se, ya thee woh pagli dewani?
MaiN kaise bhool paonga, lab-o-rukhsar, gaisoo aur woh bataiN
gawah haiN aaj bhe koil, darakht aur jheel ka paani…
haqeeqat thee ya ik sapna, k jab woh mujh se kehti thee,
jahaN per koi na hoga, tumhara saath maiN dongi,
kabhi jab tum pukarogy, tumhary paas aaoNge,
kahiN na tum baThak jao, tumhara haath thamoNgi,
kisi pal door jao tu, tumhari raah daikhoNgi,
tumhary raastooN maiN, apni palkoN ko bichaooNgi,
muhabbat goud maiN bhar kar, tumhay jhola jhulaaongi…
tumhary aansooN maiN naachty sub ghum
maiN chupkay se chura longi,
tumhary bheeghti palkooN k sub moti,
main dil maiN jazb kar looNgi
tumhay baanhoN maiN bhar kar
sub ghamooN se maiN chupha loNgi
tumhary lub…
gulooN se maiN saja dooNgi,
tumhari chahatooN k aayenoN maiN, shamayN jala dongi,
tumhary paaNooN maiN kaanty na chub jaayeN
khizaN ke raakh maiN rasty bana dongi…
maiN sapno se saja dongi, tumhary neend k dar ko,
sitarooN se maiN bhar dongi, sabhi viraan shamooN ko,
tumhary kaanch k ghar ko maiN shabnam ka bana dongi…
maiN saansoN k tapash se moom kar dongi, tumhary sird jazbooN ko,
tumhary khaab na tooty, maiN saari raat jagoNgi…
zara tum paas tu aao, mera ye haath tu thaamo,
pukaro naam ko mere, in aankhoN maiN zara jhaanko,
k muddat se jo ik faryaad maiN doobi,
tumhari yaad k sehraaoN maiN darya banati haiN,
ye gaisoo, jo hai manand in ghaTaaoN k
ye lab, jo pankhRee ke naazki se bhe dilawar haiN,
ye tum se kuch nahi kehty, sivaye aik jumlay k,
“tumhara saath bus ik ho”, tu sub manzoor hai mujh ko…
qasam hai mujh ko uss Rab ke, maiN har ik dard seH longi,
tumhary saaye maiN jee kar, maiN har dukh ko bhula dongi,
tumhara aastaN bus ho, kahiN na tum bichaR jaao,
tumhe tu mery sub kuch ho, tumhary waasty maiN kuch bhe kar longi,
wafa gar tum karo pori, agar wada nibhao tu….
Kisi ne gar koi patthar uThaya phir, koi bhe rah maiN apni jo aaya tu,
MaiN phir ik hashr kar dongi, ye ghar viraan sub hongy,
Agar bus maiN howa mery, maiN har dar ko miTa dongi,
Mery kiss kaam ke dunya, maiN iss ko he jala dongi.
Mere guRya, mere guRya….
KahaN hai saath woh tera, kahaN hai haath woh tera?
woh palkaiN kiss ke haiN ab, kon jholta hai tera jhoola?
woh mouti jazb kar lo na, woh ghum kab tum churaogi?
woh shamayN kab jalogi, woh rasty kab banaogi?
Mere jazbooN ka kya hoga, mere sapno ka kya hoga?
Wafa tu aaj bhe qaim hai, phir qasmooN ko kioN touRa…
Mere dunya jala dali, Yeh ghar viraan kar dala…

ASA

Re: Chalo

oh wow..thats great ASA

Re: Chalo

^ Thanks guRya… :flower2: