*
chalo ye mojz’a hi aj kyu na sar karlo-n
main apnay qalb shikasta ko tera ghaR karlo
ye janti ho hawA ka mizaj rakhtay ho
maiN bun kay khushboo teray sung kuch safar karlo-n
shab-e-alam kay andheroo say mujh ko dar kasa
main rutjagoo main teri yaad say sehar karlo-n
dukho ki dhoop hai aur zindagi hai abla p’a
maiN teray hijR kay saye ko hi shajaR karlo-n
kabhi to meri muhbat ka woh yaqeeN karlay
main kash tarz-e-sukhan hi main kuch asaR karlo-n
woh khush kharam jo ek din idhaR bhi a’niklay
tu khud wajooD ko apnay maiN rahguzar karlo-n
tera wasal jo wasaa’t ho asma’no ki
teri qasam teri chaht ko bal-o-par karlo-n
kabhi to meri muhbat ka woh yaqeeN karlay
main kash tarz-e-sukhan hi main kuch asaR karlo-n
Beautiful Chando.
Thank you for sharing. :)
Koyal
4

yahan koi nahi yaqeen karta kisi per aj k zamnay main 
Azad
9
teri qasam teri chaht ko bal-o-par karlo-n
WiseGuy
10
Kyu nahee kerta yaqeen.
Hum tu ker letay hain yaqeen. 
karnay waly bohat kuch karletay hain 
^^^
oh gosh..
PS: maye ni main kinoN aakhaN dard vichoray da.. sigh
Amal
16
Re: chalo ye mojz’a hi aj kyu na sar karlo-n
Bohat khoobsoorat ghazal hey CC:k:…thanx for sharing.
kya huwaaa 
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
