**Chalo tum ko batate hain…
K hum ne zindagi ke sab waraq le kar
Sabhi satroon men likh di hai tamanna tum ko pane ki
Zamane bhar men shayed katib-e-taqdeer kay hathon
Mere dil ne likh li hain tumhari chaah ki khwaahish
Tumhari aarzoo ka jo aik idraak mujh mein hai
Kissi mein ho nahin sakta
Tumhari muskurahat ka jo Aik armaan hai mujh mein
Kissi men ho nahin sakta
Chalo tum ko batate hain…
Chalo tum ko batate hain…**