Alam shumar karen dard aashkar karen
Gilay jo dil ki tahon me hain aablon ki tarha
Inhen bhi aaj shanasaey nok-e-khar karen
Jo beWafa ho usay beWafa kahen khul ker
Kahan tak yeh takalum zamanah sazi k
Pas-e-klaam hai jo zara khul ker kahen
Khunak khunak si hansi hans k jal rahay ho kiun
Lahu hai serd to aankhen bhi munjamid ker lo
Jo dil me dafan hai chehron pe ishtehar ker lain
Alam shumar karen dard aashkar karen!
Tumhara mera taluq bus aik lafz ka hai
Chalo k aaj yehi lafz ikhtiyar karen
Tumam umer parri hai munafqat k liay
Iss aik lafz ka daman na daghdar karen
Alam shumar karen dard aashkar karen!
Chalo kuchh aaj hisab-e-ziyan jan ker len!!