~*~ Chalo hum seepeyaan chun'nay kisi saahil pe chaltay hain ~*~

Chalo hum seepeyaan chun’nay kisi saahil pe chaltay hain
Jahaan paon ke neeche rait ki halki si larzish muskurati ho
Hawa ki narmeyon mein titleyoon ki doleyaan uttrain
Kisi nannay se achay ki seyah masoom aankhain be-yaqeeni se
Samundar ke sulagtay paneyoon se baat karti ho
Jahaan per dil, muhabbat ke gharondon ki nae taameer kartay hon
Duaon aur wafaoun ke hunar taskheer kartay hon
Yunhi athkeleyaan kartay huwe, aabi parinday geet gatay hon
Darakhtoon per bikharti shaam ki ghehri munderoon per
Deyey se jhilmilaatay hon
Jahaan per door tak woh baadbanoon se saji sab kashteyaan
Lehroon pe jaise raqs karti hon
Aur apni masteyoon mein hausloon ka ism perhti hon
Inhi mehkay gulaabi mausamoon mein
Khwaab ke manzar sajaanay ko
Sunehri khusbo’oun ki barishoon mein
Bheeg jaanay ko
Chalo na … Hum bhi chaltay hain
Ab apne khouf ki dehleez se bahar nikaltay hain
Chalo hum seepeyaan chun’nay kisi saahil pe chaltay hain …

Noshi Geelani

Re: ~~ Chalo hum seepeyaan chun’nay kisi saahil pe chaltay hain ~~

:k:

Re: ~~ Chalo hum seepeyaan chun'nay kisi saahil pe chaltay hain ~~

Nice.

Re: ~~ Chalo hum seepeyaan chun'nay kisi saahil pe chaltay hain ~~

Nice!