chalo bar phir say ajnabi ben jayain hum dono!!
na main tum say koi umeed rekhoon dilnawazi ki
na tum meri taref daikho ghalet andaz nazron say
na mera dil lerh kherhayai kisi ki baton say
na zahir ho tumhari kesh mekesh ka raz nezron say
tumhay bhi koi uljhen roketi hay paish qedmi say
mujhay bhi log kehtay hain yeh jalway perayai hain
meray humrah bhi ruswaian hain meray mazi ki
tumharay sath bhi guzerti raton ka saya hay
taruf rog ben jayai to us ka bhoolna behter
taluq bhoj ben jayai to us ka to rhena acha
woh afsana jis ko anjam tuk badelna mushqil ho
usay aik khoubsouret morh dai ker chorhena acha
chalo ek bar phir say ajnabi ben jayain hum dono!!!