chalo ek bar phir say ajnabi ban jain

kaheen parhee thee ye, n wanted to share

chalo ek bar phir say ajnabi ban jain hum donoon

na main tum say koi umeed rakhon dil nawazi ki

na tum meree taraf dekho ghalat andaz nazroon say

na meray dil kee dharkan laRkhaRaae meree batoon say

na zahir ho tumharee kashmakash ka raz nazroon say

tumhain bhee koi uljhan rokti hay paish qadmee say

mujhay bhee log kehtay haiN ki ye jalway praye haiN

meray hum rah bhee ruswaiyaan hain meray mazi ki

tumharay sath bhee guzree hoi ratoN ke saye haiN

ta’ruf rog ho jay to us ko bhoolna behtar

teluq bojh ban jaye to usko toRna acha

wo afsana jisay anjam tak lana na ho mumkin

usay aik khoob soorat mor dekar choorna acha

poet na naam naheen yaad, kisee ko pata ho to bata day

jabardus:k:

:)

hmmm nice 1

Nice !

Thanks for sharing :)

Re: chalo ek bar phir say ajnabi ban jain

[QUOTE]
*Originally posted by Aceones!: *
kaheen parhee thee ye, n wanted to share

chalo ek bar phir say ajnabi ban jain hum donoon

na main tum say koi umeed rakhon dil nawazi ki

na tum meree taraf dekho ghalat andaz nazroon say

na meray dil kee dharkan laRkhaRaae meree batoon say

na zahir ho tumharee kashmakash ka raz nazroon say

tumhain bhee koi uljhan rokti hay paish qadmee say

mujhay bhee log kehtay haiN ki ye jalway praye haiN

Wonderful choice ace ones ji kiya kehna :)

meray hum rah bhee ruswaiyaan hain meray mazi ki

tumharay sath bhee guzree hoi ratoN ke saye haiN

ta'ruf rog ho jay to us ko bhoolna behtar

teluq bojh ban jaye to usko toRna acha

wo afsana jisay anjam tak lana na ho mumkin

usay aik khoob soorat mor dekar choorna acha

poet na naam naheen yaad, kisee ko pata ho to bata day
[/QUOTE]

Very Nice Song :)
Poet Sahir

Re: chalo ek bar phir say ajnabi ban jain

Its beautiful. Buhat khoobsurat shairee hai…yaad taza karne ka shukriya :k:

thnx all,
n thnx Gul-e-Tasbeeh for telling the name of the poet :)
mujhay bhee ye kisee dost nay fwd kee thee