Chalo ek baar phir say ajnabi ban jayin hum dono
na main tum say koi ummeed rakho dil nawazi ki
na tum mere taraf dekho ghalat andaaz nazro say
na mere dil ki dharkan larkharaye mere baton say
na zahir ho tumhare kashmakash ka raaz nazron say
tumhain bhi koi uljhan rokti hai paish qadmi say
mujhay bhi log kehtay hain k yeh jalway paraye hain
mere hamrah bhi rusvayian hain mere maazi ki
tumharay saath bhi guzri hui raton k saye hain
taa’ruf rog ban jaye to ussko bholna behtar
taa’luq bojh ban jaye to usska torrna acha
wo afsana jissay anjaam tak lana ho namumkin
ussay aik khobsurat mor dekar chorna acha
CHALO EK BAAR PHIR SY AJNABI BAN JAYEIN HUM DONO