Chalo door Kahin chaltay hain
Kahin pairron kay saye Main
Kahin sapnon ki wadi main
Ya kahin jheel Kinaray Per
chalo chaltay hain Kahin Jana
Mohabbat Mehsoos Kartay hain
Teray Kandhay pay sar Rakhay
Jo baadal chu kay guzrain To
jo barish ham pay barsay To
Buhut si ankahi batain Khamoshi ki zaban main
Buhut aahista say jana Hamray dil main Utar ayain
kabhi shabnam pay nangay paon,
Teri qurbat kay lamhon main
zamanay bhar say be-khabar
Kahin shehr-e-mohabbat ki zamin pay dono ja pohnchain
nazar main tera chehra ho
faza main khusbu hamari ho
na apni khabar tumhain kuch ho na apna pata mujhe kuch ho
Mohabbat ki khamoshi ho,
Mohabbat ki kahani ho
Mohabbat ki zabani ho!!!
Re: Chalo door Kahin chaltay hain
**Mohabbat ki khamoshi ho,
Mohabbat ki kahani ho
Mohabbat ki zabani ho!!!
Hazaron khawashen aisi :hinna:
**
Re: Chalo door Kahin chaltay hain
![]()
Re: Chalo door Kahin chaltay hain
har khawaish pe dam niklay