**chalo baten karein itni…
fallak ki goad mein simte setaaray thak kay so jayen
zamee par bikhare manzar sab kay sab heran ho jayen
utarti aabsharin shore karna he bhula bathain
thitak jayen samandar ki talatum khaiz moajain
parinday chehchahey bhulen
hawa herat say tham jaai !
bina maqsad , bina matlab
chalo na boltay jayen
bohat say un kahe lafzon kay dar hum kholtey jayen
hamari raah mein
jitnay bhi khamoshi kay pathar hai
unhein lafzon kay qadmon kay taley
hum rondte jayen
karein har chand hum bay rabt baten he
magar saathi !
chalo baten karein itni
k ik lamha zara ruk kar
tumhein kuch sochna dushwaar ho jaai
aur aisay mein achanak he
tumahray surkh honton par
woh dil ki baat aa jaai
samaat muntazir thi jis ki
janay kitni sadiiyon say !
**