**Yonhi do pal sahi ghamgeen dil ko shaad krty hain
ameer-e-shehr k aagy koi faryaad krty hain
thikana dhondhty hain ab ksi ujry hoe dil me
chalo aao koi veraan ghar aabad krty hain
tumhare ye jahan waaly humain pagal samjhty hain
bhula dete hain khud ko hum tumhain jab yaad krty hain
unhain fursat kahan betaab dil ka haal sun’ny ki
hamary wasty kab wqt wo barbad krty hain
purani baat hai tofan k rukh ko palat dena
jo dil ko phair dy aisa hunar ijaad krty hain
ye khamoshi se barson in ki bunyadon me palty hain
gharon ko nafraton k zal’zaly barbad krty hain
tumhari goud me sir rakh k soona chahty to hain
mgr kab safar k zindan humain aazad krty hain
**