challo kahani likhain...

i m starting a story and plz.. u complete it.. every one just add at least 3 lines in the story…and try to add as a story not a joke… plz

bohat dinn kee baat hai kisse gaoon main aik pathan rehta thaa.. jiss kaa naam… gul khan thaa.. gul khan aik bohat he mehanti kissam kaa insaan thaa … bohat saaf go. bohat naik… seedhi saadhaa saa aam insaan… shayad he koe insaan uss say ghabrata hoo yaa uss kay saath burra mehsos karta hoo..gul khan kee shaadi bachpan main he uss kee khaala zaad behan gul bano say hoo gae thee… aur donon kay do adad khoobsoorat bachay bhee thay.. waqt guzarta gaya aur waqt apna rang daikhata gaya… aakhir waqt aur haalaat kay hathon majboor hoo kar unhain gaoon say apni zameen baych karr sheher main aana parra…


mairay dill mairay mussafir

Oohh i love these - but my urdu is unreadable, so i'll write in english...Gul Bano was extraordinarily beautiful and young woman. Walking along the street one day after a long day of unsuccessful interviews for a housemaid job, she overheard some chowkidars in front a quaint makhaan talking about a maid who had run away from work and that the sahib was trying to find a new girl to replace her. She implored the chowkidars to take her to the master of the house in hopes that she just may get lucky...

Gul khan ne jamin bech kar jo paise mile they wo apni salwaar ki andar ki jeb mein rakhe they jise kuch badmashon ne dekh liya. Bura waqt aatey der nahin lagti.Badmashon ne Gul Khan ko akele mein dhamka kar-ki hum tere bachchon aur bibi ko maar denge-uske saare paise loot liye.

halaat kee sitamgarri daikhiay aik to woh gull khan thaa jo keh apni bivi ko phooloon kee tarha rakhta thaa kabhi bagair parday kay bahir nahien nikalnay dayta thaa uss kee harr khawhish puri karta thaa .. magar aab yeh haalaat thay keh uss ko uss kee kamaee par zinda rehna parr raha thaa aur uss kee bivi logon kay ghar kaam karr rahe thee.. aur bachay jo phooloon kee tarha thay.. woh bhee murjhaa gaaiay thay.. kabhi acha khanay ko mill jata kabhi nahie.. doosri taraf uss ko unn logoon kaa dharkaa laggaa rehta jinhoon nay uss ko dhamki dee thee keh uss kay bivi bachoon ko utha lain gay.. isse parayshaani main woh shadeed beemaar parr gaya aur uss par sonay par suhaga yeh keh uss kee bivi kee nokree bhee uss kee beemaaree kee wajha say choot gae....


mairay dill mairay mussafir

kucch dinon me gul khan dobara sehatmand ho gaya.... lekin us ko abhee bhee wohee pareshani thee keh kis tarah paisa kamaya jaye.... issi koshi me aik din us ki mulaaqaat Seth Ismail se huee.... Seth Ismail ne dekha ke yeh aadmi to bohat taaqat or demagh wala hai to us ne foran is ko apne kaam me laga liya.... itna zayada paise dekh kar gul khan ka eemaan bhee badal gaya.... or

aur woh gul khan woh naa raha jo keh woh kabhi hota thaa.. jiss kee sharafat kay kaseeday saara gaoon parhta thaa.. jiss par harr ikk eihtibaar karta thaa..uss nay aahist aahista saith ko apnay eihtimaad main liya aur uss kay kaam main challaki say.. paisoon kee haira phayree karnay lagga... .. magar kaha jata hai keh soo dinn chorr kaa aur aik dinn shaah kaa... aik dinn jaab woh cash register main say kuch paisoon kay hissab main garr barr kar raha thaa to saith kay manager nay uss ko diakh liya... aur phir uss ko wahaan say naa sirf nikalna parra balkeh jail kee hawa bhee khaani parri... aur uss kee bivi aur bachoon nay jo kuch sukh kaa saans liya thaa woh bhee unn say chinn gaya... aur haalat mazeed kharab hoo gaaiay.. aur itnay kharab keh gull khan kay barray baytay ko workshop main kaam karna parra aur uss kee bivi ko aik ghar main safaee kaa kaam karna para. .waqt guzarta gaya.. aur aakhir 6 maheenay kee qaid puri hoe aur gul khan jaab jail say bahir aaya to... ...............


mairay dill mairay mussafir

seems like kahani khatam paisa hazam..

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/smile.gif

so u can close this story thing..


mairay dill mairay mussafir