Chale gaye

Aankhon mein bas ke dil mein samaa kar chale gaye
khwaabida zindagi thi jagaa kar chale gaye

chehre tak aasteen wo laakar chale gaye
kya raaz tha ki jis ko chipaa kar chale gaye

rag rag mein iss tarha wo samaa kar chale gaye
jaise mujh hi ko mujh se churaakar chale gaye

aaye thay dil ki pyaas bujhane ke waaste
ik aag see wo aur lagaa kar chale gaye

lab thar-tharate ke reh gaye lekin wo ay Jigar
jaate huay nigaah milaakar chale gaye
By : Jigar Muradabadi

Re: Chale gaye

Aaye they aaj Mir jee aaisi ghazal k saath
Is jism o jaa(n) mein aag laga kar chale gaye
--------
Bas is ghazal ki ta'reef mumkin nahi...Or aakhri she'r ne to kaleja nikaal lia...

Re: Chale gaye

khobsurat mir sahab zabardast :)

Re: Chale gaye

BUhat umda mir saheb,,,,,
Zalim,,,,,,,,,,,,,, apka ka kaleja,,, nikla gaya??? Allah reham karey,,,,


kuch sukh ke sapney dekh chaley , kuch dukh ke sapney jheil chaley
taqdeer ki andhi derdish thi, jo kheil khilaye kheil chaley