14535.Junoon - Chalay Thay Saath Saath
*
chalay … chalay thay saath saath
rukay … rukay thay saath saath
kitna haseen tha apna safar
saray jahan kee khushyan thee saath
bichar gayay hum dukh kee hay baat
meri zindagi … mere sang naheen
kaise na karta us ko mein pyaar?
us kee hansi mein sukh thay hazar
kya socha…hua kya…
doore ho k mila kya…
mein ne us k dil ko tora kya…?
ya phir us ne mujh ko chora kya…?
bandhan tha ye tora kya…?
baat meri sunay woh
kaash dekhe mujhay woh
sochon mein yoon khoya hoon mein
jaaga hoon mein soya hoon mein
jaanay kitna roya hoon mein
*