**
Sakoot-e-jaan ka matlab batado phir chalay jana
ya phir sargoshian dil ki suna do phir chalay jana
jo mera aur tumhara waqt guzra hansnay ronay may
usay puri tarha se tum bhulado phir chalay jana
ye saray pair poday tum bin kai raat jagay hai
tum aakay ek baar inko sulado phir chalay jana
kisi ko chahney ka aur kisi se chahay janay ka
jo hai Ehsaas tum usko bhulado phir chalay jana
bus aik murda hansi se apnay ashkoon ko chupanay ka
jo fun aata hai tum ko, wo sikhado phir chalay jana
wo jo ik lafz-e-ulfat hai, juda hai apnay maani se
bus in alfaz-o-mani ko milado phir chalay jana
jo kehte kehte ruk gaye, un sari bato ki
sama’at ko talab hai wo suna do phir chalay jana
na janay kyoon hai lakin dekhne ki tum ko aadat hai
meri ye be-waja aadat chura do phir chalay jana
merey in roz-o-shab ka ek fakat unwaan bus tum ho
mujhe tum doosra unwaan lado phir chalay jana
Pyar ki koshish, ay Khuda, na jaye raigaan,
mujhe is sabar ka kuch phal dila do phir chalay jana…**