Chal nikalti hain gham-e-yar sy batain kya kya

**Chal nikalti hain gham-e-yar sy batain kya kya Hum nay bhe ki hain dar-o-diwar say batain kya kya

Baat ban aii hy phir sy ky meray baray main
Us nay puchi meray gham khawar say batain kya kya

Log lab basta agar hon to nikal aati hain
Chup ky pyar-e-izhar say batain kya kya

Kisi sodai ka qisa kisi harjai ke baat
Log lay aatay hain bazaar sy batain kya kya

Hum nay bhe daast shanasai k bahany ke hain
Hath main hath liye yar sy batain kya kya

Kis ko bikna tha magar khush hain k isi helay say
Ho gai’n apnay kharedar say batain kya kya

Hum hain khamosh k majbor-e-muhabat thy Faraz
Warna mansoob hain sarkar say batain kya kya**

Re: Chal nikalti hain gham-e-yar sy batain kya kya

I read it as Sobia :smack:

Re: Chal nikalti hain gham-e-yar sy batain kya kya

Eye Test…:stuck_out_tongue: