chal kahin uar chalain yeh jagha munasib nahi

chal kahin uar chalain yeh jagha munasib nahi

tiray meray khenay ki baatain yehan ho sakti nahi

jahan piyar hi piyar ho nafrat ka maimar nahi

jahan rastay hon hamwar koi deewar nahi

jahan sirf tujhay daikhoon chand sitaray nahi

jahan main hi basoon or koi milansar nahi

jahan ulfat walay hon koi bewafa yaar nahi

jahan tujhay hi sunoon koi jhankar nahi

jahan geet gay Inam teray or koi saaz nahi.

Inam Hussain~

Great

is there a place like this?

Salaamz
u got a Very Nice Choice

chalein saath chaltay hein.....
(hehe.......... just kidding)

Wonderful :k: