**yahan ujle ujle roop bahot;
par asli kam, behroop bahot.
us pairr k neeche kia rukna?
jahan saya kam ho, dhoop bhot.
Chal Insha Apne Gaon Mein…
bethein ge sukh ki chaoon mein.
q teri aankh sawali he?
yahan har ik bat nirali he…
is dais basera mat karna;
yahan muflis hona gaali he…
chal insha apne gaon mein;
jahan sache rishte yaron k…
jahan ghongat zewar naron k…
jahan jharne komal sur wale…
jahan saz bajen bin taron k…
Chal Insha Apne Gaon Mein
CHAL INSHA APNE GAON MEIN!!!**
LP
April 29, 2012, 8:12pm
2
Re: Chal Insha Apne Gaon Mein…
Sheher nahi jaa saktey kya:emmy:
:k: nice sharing
Re: Chal Insha Apne Gaon Mein…
Sheher mein asli kam, Behroop bohat…
LP
April 29, 2012, 8:23pm
4
Re: Chal Insha Apne Gaon Mein…
gaon mai bhi kaunsa asli zaydah hotey hain:hoonh:
Re: Chal Insha Apne Gaon Mein...
Sheher ki nisbat to ziyada hi hotay hyn
LP
April 29, 2012, 8:35pm
6
Re: Chal Insha Apne Gaon Mein...
Zamaney bhar ney loota hai faraib-e-dosti day kar "Faraz".
Agar tum sath do to sab say dushmani kar loon
Re: Chal Insha Apne Gaon Mein...
Zamaney bhar ney loota hai faraib-e-dosti day kar "Faraz".
Agar tum sath do to sab say dushmani kar loon
*Hum hain wafa ke aadi har dum wafa kareinge..
Ek jaan hai hamari jo tum pe fida kareinge....!!!
*
LP
April 29, 2012, 9:10pm
8
Re: Chal Insha Apne Gaon Mein…
Dost Kya Khoob Wafaon Ka Sila Dete Hain,
Har Naye Mod Par Ek Zakhm Naya Dete Hain,
Tum Se To Khair Ghadi Bhar Ki Mulakat Rahi,
Log Barson Ki Rafakat Ko Bhula Dete Hain,
:no:
ehsan
April 29, 2012, 9:12pm
9
Re: Chal Insha Apne Gaon Mein…
Dost Kya Khoob Wafaon Ka Sila Dete Hain,
Har Naye Mod Par Ek Zakhm Naya Dete Hain,
Tum Se To Khair Ghadi Bhar Ki Mulakat Rahi,
Log Barson Ki Rafakat Ko Bhula Dete Hain,
:no:
Iss larki koh aaj kul kiya ho gaya hai.
Re: Chal Insha Apne Gaon Mein...
jab kabhi poochha meray lutney ka sabab logon ney
mujhey reh reh kar mera jurm e wafa yaad aaya
LP
April 29, 2012, 9:19pm
11
Re: Chal Insha Apne Gaon Mein…
bataya tou shayeri ka temporary daura hai
Humse wafa k bary main jo chaho puch lo,
lekin wafa ki kia hy saza ye na puchna,
Rah-e-wafa me hum per jo guzri wo puch lo,
Manzil per kia hua salook ye na puchna,
Re: Chal Insha Apne Gaon Mein...
*Rah-e-wafa me aap pa kia guzri.....??
*
Bewafaa ki baat mat karo yaaron,Wafa dil ko jalaati hai,
Jab jab tum wafa ki baat karte ho,Ek bewafa ki yaad sataati hai..
LP
April 29, 2012, 9:49pm
13
Re: Chal Insha Apne Gaon Mein...
Bewafa ho tum ye Na Kahenge Kisi se,
Kahenge Ki Shayad Kami Thi Wafa Mai Hamari.
Re: Chal Insha Apne Gaon Mein...
Hum ny hans hans k bhram ehl-e-wafa ka rakha.....!!!
Hum b ro dety agr ishaq mein jhooty hoty.....!!!
LP
April 29, 2012, 10:02pm
15
Re: Chal Insha Apne Gaon Mein…
niceee:k:
aaj ke liye ho gaya mera dimagh aur kaam nahi ker raha
Re: Chal Insha Apne Gaon Mein...
:BiB:
Re: Chal Insha Apne Gaon Mein…
:k: